logo

Bayaaz

donate usNotificationA

manqabat - mir hasan mir - 2024

Aa Gaya Mah e Rajab

Maula….
Maula….
Maula….
Maula….

Ali Ali Ali Ali
Ali Ali Ali Ali
Ali Ali Ali Ali

Aa Gaya Mah e Rajab Zikr-e-Ali Sau Baar Sun

Jashn Kar Masti Me Aa Naare Laga Ash’ar Sun

Aa Gaya Mah-e-Rajab Zikr-e-Ali Sau Baar Sun



Yun Chaliñ Kat Kar Zawane Mesum E Tammar Sun

Khanzaroñ Ne Khoon Thooka Ho Gayi Talwar Sunn

Aa Gaya Mah-e-Rajab Zikr-e-Ali Sau Baar Sun



In Ragoñ Me Daudta Hai Raat Din Ishq-e-Ali

Ho Nahi Sakti Hamare Khoon Ki Raftaar Sunn

Aa Gaya Mah-e-Rajab Zikr-e-Ali Sau Baar Sun



Jashn-e-Haider Me Hain Sab Aflaq Ke Nama Nigar

Baith Kar Farsh-e-Wila Par Arsh Ke Akhbar Sun

Aa Gaya Mah-e-Rajab Zikr-e-Ali Sau Baar Sun



Munkir-e-Shan-e-Ali Khum Me Sama’at Ho Chuka

Kyun Kahun Bahre Se madhe Haider-e-Karrar Sun

Aa Gaya Mah-e-Rajab Zikr-e-Ali Sau Baar Sun



Kya Hua Aa Kar Ali Ke Samne Marhab Tujhe

Haath Sunn Ausaan Sunn Rahwar Sunn Talwar Sunn

Aa Gaya Mah-e-Rajab Zikr-e-Ali Sau Baar Sun



Shor-e-Mahfil, Shor-e-Majlish, Shor-e-Matam Gar Ruka

Cheekh Uththegi Khudayi Ho Gaya Sansar Sunn

Aa Gaya Mah-e-Rajab Zikr-e-Ali Sau Baar Sun



Ek Shab Aaya Jo Mere Khwaab Me Shimr-e-Layiñ

Is Qadar Mare Tamache Kar Diye Rukhsar Sunn

Aa Gaya Mah-e-Rajab Zikr-e-Ali Sau Baar Sun



Mir Se Pahle Sune The Sher Tahtul Lafz Me

Ab Takallum Se Tarannum Me Wohi Ash’aar Sun

Aa Gaya Mah-e-Rajab Zikr-e-Ali Sau Baar Sun

HomebookmarkmybayaazSetting